asl mein maut to khushiyon ki ghadi hai yaro zindagi karb hai ashkon ki jhadi hai yaro koi rota hi nahin ghair ki barbaadi par har bashar ko yahan apni hi padi hai yaro waqt aane pe har ek shakhs dagha deta hai aisa lagta hai qayamat ki ghadi hai yaro apne anjam se ghafil na raho fikr karo maut farman liye sar pe khadi hai yaro muskura kar bhi agar koi kabhi milta hai is zamane mein yahi baat badi hai yaro rah chalton ko ye paigham 'sahar' deta hai husn-e-kirdar to jadu ki chhadi hai yaro