asnam-e-mal-o-zar ki parastish sikha gai duniya mujhe bhi aabid-e-duniya bana gai wo sang-e-dil mazar-e-wafa par ba-nam-e-ishq aai to mere nam ka patthar laga gai mere liye hazar tabassum thi wo bahaar jo aansuon ki rah pe mujh ko laga gai gauhar-farosh shabnami palkon ki chhanw mein kya aag thi jo ruh ke andar sama gai mere sukhan ki dad bhi us ko hi dijiye wo jis ki aarzu mujhe shair bana gai 'sahba' wo raushni jo bahut mehrban thi kyun mere raste mein andhere bichha gai