aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya

aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya
dekho hum ne pet ki khatir kya kya karobar kiya

is basti ke log to sab the chalti phirti diwaren
hum ne rang lutati shab se ujle dinon se pyar kiya

zehn se ek ek kar ke teri sari baaten utar gain
kabhi kabhi to waqt ne hum ko aisa bhi na-chaar kiya

apna-ap bhi khoya hum ne logon se bhi chhuta sath
ek sae ki dhun ne hum ko kaise kaise khar kiya

sare ahd ka bojh tha sar par dil mein sare jahan ka gham
waqt ka jalta ubalta sahra hum ne jis dam par kiya

jagti galiyon unche gharon mein zard andhera nachta hai
jis lamhe se hum darte the us ne aakhir war kiya

sham ki thandi aahon mein bhi teri khushbu shamil thi
raat gae tak pedon ne bhi tera zikr-azkar kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close