aur ab to mere chehre se ubhar aata hai wo aaina main dekhta hun aur nazar aata hai wo haal-e-dil kahne ko barish ki zarurat hai mujhe aur mere ghar hawa ke dosh par aata hai wo raat ko dil se koi aawaz aati hai mujhe jism ki diwar se kaise guzar aata hai wo waqt kho jata hai meri anjuman mein is liye apne bazu par ghadi ko bandh kar aata hai wo aakhiri zine talak koi khabar hoti nahin dil ke tah-khane mein chupke se utar aata hai wo main hawa ki guftugu likhta hun barg-e-sham par jo kisi ko bhi nahin aata hunar aata hai wo sar-buridon ko tunak kar raat suraj ne kaha aur jab shanon pe rakh kar apna sar aata hai wo wo nikalta hi nahin 'mansur' teri zat se zikr aae to sahi aankhon mein dar aata hai wo