aur hoti meri ruswai nikharta aur kuchh ghaur karta aur kuchh izhaar karta aur kuchh yar logon mein sabaq banti meri aawargi saneha is shahr mein mujh par guzarta aur kuchh in dinon dida bhi lagta hai shunida ki tarah kash harf o saut ke man mein utarta aur kuchh aakhiri hichki se dam tuta na nabz apni ruki tu agar hota mere aage to marta aur kuchh sans lene bhi na paya tha ki manzar gum hua main kisi qabil na tha warna thaharta aur kuchh nasri nazmen kahne wale to farishte hain tamam mujh gunahgar-e-ghazal par qahr utarta aur kuchh be-takalluf is qadar tha qatl mera kar diya wo adu hota to 'kawish' mujh se darta aur kuchh