aur kya roz-e-jaza dega mujhe zinda rahne ki saza dega mujhe zakhm hi zakhm hun main dagh hi dagh kaun phulon ki qaba dega mujhe main samajhta hun zamane ka mizaj wo banaega mita dega mujhe be-karan sadiyon ka sannata hun main kaun sa lamha sada dega mujhe tut kar lauh-o-qalam ki jagir koi dega bhi to kya dega mujhe mere hi khun mein nahla ke 'sharar' wo salibon pe saja dega mujhe