aur mujh sa jaan dene ka tamannai nahin us ka shaidai hun jis ka koi shaidai nahin saf hain hum go tujhe mail-e-khud-arai nahin dil wahi aaina hai par tu tamashai nahin qail-e-wahdat hun shirkat ka tamannai nahin tu jo tanha hai to mujh ko fikr-e-tanhai nahin naseho kyun sabr karne ke liye karte ho tang is qadar dil tang hai ja-e-shakebai nahin dhundhne par main kamar bandhun to paun qasr-e-yar be-mahal hai la-makan kahna wo harjai nahin sach hai haq na-haq nahin milta kisi ko martaba dar par mansur ko auj-e-masihai nahin ya karo apna kisi ko ya kisi ke ho raho chaar din ki zindagi mein lutf-e-tanhai nahin zar hun taqat se mil jaane ko taqat chahiye na-tawani se judai ki tawanai nahin dasht-e-wahshat mein nahin milta hai saye ka pata main hun saudai mera ham-zad saudai nahin aatshi shishe ki ainak ho hamari aankh mein hum tumhaari garmiyan dekhen ye binai nahin misr ke bazar mein kya badh gai yusuf ki qadr husn ko be-pardagi mein aib-e-ruswai nahin be-mai-o-mai-khana-o-saqi jo aai mujh ko maut halqa-e-matam hai daur-e-charkh-e-minai nahin ho gaya khamosh jo shahr-e-khamoshan ka hua hai dahan-e-gor maujud aur goyai nahin donon nashaon se hain bahar mast-e-sahba-e-alast apne mai-khane mein daur-e-charkh-e-minai nahin paen kya diwana-e-mizhgan but-e-tarsa mein lutf sozan-e-isa mein nok-e-khak-e-shahrai nahin mere dil ki tujh ko beja hai shikayat ghair se apne ghar ka haal kahna tarz-e-danai nahin nashshe mein zinda hain hai isa-nafas apna khumar jaan aaza mein chali aati hai angdai nahin ho gae tedhe agar hum ne jagaya nind se aap dar-parda akadte hain ye angdai nahin mai-kade par saqf-e-abr-e-rahmat-e-haq chahiye ehtiyaj-e-saeban-e-charkh-e-minai nahin be-khatar hain susti-e-andam se nazuk-mizaj justuju-e-baada mein shishon ki angdai nahin sar ko takra kar mitaya apni qismat ka likha dair mein kabe mein ab fikr-e-jabin-sai nahin aap se yusuf hazaron hum se aashiq saikdon husn ka toda nahin qaht-e-tamashai nahin pir-e-gardun se zara anjum uchak kar chhin len himmaten aali hain fikr-e-charkh-e-baalai nahin hai mera dasht-e-junun sat aasmanon se do-chand rub-e-maskun wadi-e-wahshat ki chauthai nahin dukhtar-e-raz misl-e-aflatun hai jab tak khum mein hai nashshe mein apne se bahar hon ye danai nahin lucknow ki aarzu mein jaan deta hai 'munir' saltanat ka bhi zamane mein tamannai nahin