aur na dar-ba-dar phira aur na aazma mujhe bas mere parda-dar bas! ab nahin hausla mujhe sakht nazar-fareb hai aaina-khana-e-jamal us ki chamak-damak na dekh, dekh bujha bujha mujhe habs-e-hujum-e-khalq se ghut ke alag hua to main qatra ba-sath-e-bahar tha chat gai hawa mujhe sabr karo muhasibo waqt tumhein bataega dahr ko main ne kya diya dahr se kya mila mujhe sirf usi ke samne khwar kiya tha aas ne yas ne fard fard par aaina kar diya mujhe tere hi misr ka malal tere hi najd ka khayal shahr-ba-shahr ku-ba-ku gam-ba-gam tha mujhe kar-gah-e-baqa mujhe zat-o-hayat-o-kaenat zat-o-hayat-o-kaenat daera-e-fana mujhe zat-o-hayat-o-kaenat be-sar-o-pa o be-sabaat be-sar-o-pa o be-sabaat shai se umid kya mujhe raat lughat-e-umr se main ne chuna tha ek lafz lafz bahut ajib tha yaad nahin raha mujhe tha guzaran guzar gaya waqt-e-visal aur bas khak bhi chhanta phira phir na kabhi mila mujhe main ne hansi-khushi use jaane diya tha han magar ye to muahida na tha mud ke na dekhna mujhe sham us aadmi ki yaad aai jo ek umr baad jaaniye kis azab mein kar gai mubtala mujhe main ne use shikast di sina-ba-sina lab-ba-lab sina-ba-sina lab-ba-lab us ne hara diya mujhe jo na suna tha dahr se us ki zaban se sun liya ab mujhe koi kuchh kahe fikr nahin zara mujhe hain teri mehrbaniyan bhuli hui kahaniyan bhuli hui kahaniyan yaad na ab dila mujhe fan ko samajh liya gaya mahz atiyya-e-falak sai-o-riyaz ka sila khub diya gaya mujhe mahram-e-khas dekhna so to nahin gaya 'shuur' der hui sune hue koi nai sada mujhe