ayan ho aap begana banaya

By yasin-ali-khan-markazNovember 26, 2020
ayan ho aap begana banaya
wajud-e-khak ka shana banaya
tu hai alfaz se mahir ai waiz
mujhe be-kaif-o-kam-mana banaya


kiya izhaar jab main raaz-e-haq ko
to aalam mujh ko rindana banaya
hansi se meri is ne tal di baat
main tha hoshiyar diwana banaya


mujhe saqi ne be-minnat ke di mai
khumar-e-ishq-e-mardana banaya
pukara ishq ne ja dhundh le yar
tan-e-khaki ko hai khana banaya


udaya baat mein jo khud-parasti
mujhe mul de ke mastana banaya
main jaana aap ko har haal mazhar
ba-zahir banda farzana banaya


ai 'markaz' tujh se hai sab shan zahir
ajab aaina shahana banaya
78838 viewsghazalEnglish