az-bas-ki ji hai tujh bin bezar zindagi se behtar hai mujh ko marna ai yar zindagi se mar jaun main to rona mera tamam howe shaki hain meri chashm-e-khun-bar zindagi se us shahid-e-nihan ka kushta hun main ki jis ne khinchi hai darmiyan mein diwar zindagi se marte to chhut jate ranj-o-mehan se yan ke manind-e-khizr hum hain na-chaar zindagi se yan ki aziyyaton se az-bas-ki aagahi thi karte the hum adam mein inkar zindagi se jite agar na hum to kyun zillaten uthate khai hai dil pe hum ne talwar zindagi se sach hai uthae kab tak har ek ki be-adai aati hai 'mushafi' ko ab aar zindagi se