az-mehr ta-ba-zarra dil-o-dil hai aaina tuti ko shash-jihat se muqabil hai aaina hairat hujum-e-lazzat-e-ghaltani-e-tapish simab-e-baalish o kamar-e-dil hai aaina ghaflat ba-baal-e-jauhar-e-shamshir par-fishan yan pusht-e-chashm-e-shokhi-e-qatil hai aaina hairat-nigah-e-barq-e-tamasha bahaar-e-shokh dar-parda-e-hawa par-e-bismil hai aaina yan rah gae hain nakhun-e-tadbir tut kar jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai aaina ham-zanu-e-tammul o ham-jalwa-gah-e-gul aaina-band khalwat-o-mahfil hai aaina dil kar-gah-e-fikr o 'asad' be-nawa-e-dil yan sang-e-astana-e-'bedil' hai aaina