azab-e-jaan ko bhi imbisat samjha main

azab-e-jaan ko bhi imbisat samjha main
khuda ne gham bhi diye to nashat samjha mein

chala sanbhal ke kahin ja girun na dozakh mein
rah-e-hayat tujhe pul-siraat samjha main

utha jo zist ka mear gir gaya akhlaq
ghalat bhi kya hai agar inhitat samjha main

thi teri pahlu-tahi kab ba-wajh-e-ruswai
wo be-rukhi thi jise ehtiyat samjha main

kitab-e-haq ne dikhaya jo aaina 'arif'
main kya hun tab kahin apni bisat samjha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close