azal se be-sabaati ka gila tha

azal se be-sabaati ka gila tha
magar insan khud kam-hausla tha

jise samjhe samundar ki rawani
sabil-e-zindagi ka bulbula tha

ajab si thi masafat tirgi ki
chala tha gir pada tha phir chala tha

har ek lamha rifaqat ka hamari
dhanak ke sat rangon se saja tha

tawazun tha zaruri zindagi mein
talawwun ka magar apna maza tha

khada tha main pasheman phir wahin par
jahan se laghzishon ka silsila tha

kabhi socha bhi 'adil' kyun mila sab
hua hasil wahi jo de chuka tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close