azal se ham-safar kya ham-muqaddar tak nahin milte

azal se ham-safar kya ham-muqaddar tak nahin milte
kinare aab-e-dariya ke samundar tak nahin milte

bacha aabaad aankhon ko bahut rona nahin achchha
jahan sailab aate hain wahan ghar tak nahin milte

guzargahen ye raaz afsha nahin kartin jahan pahle
bahut unche mahal the un ko patthar tak nahin milte

zamin ka khalfishaar is tarah sab par saya-afgan hai
gharon ki chaar-diwari mein ab dar tak nahin milte

'razi' ab nasl-e-adam par kuchh aisa qaht-e-insan hai
musalman kya is aabaadi mein kafir tak nahin milte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close