azal se naz-parwar hun KHiram-e-naz-parwar ka

azal se naz-parwar hun khiram-e-naz-parwar ka
meri hasti bhara karti hai dam aashob-e-mahshar ka

kiya hai aaj wada kis ne aane ka khuda jaane
nazar aata hai chashm-e-shauq darwaza mere ghar ka

liye phirta hai sath apne ghubar-e-khak ki surat
mere sine mein har josh-e-nafas jhonka hai sarsar ka

sahar ke sath hoga chaak mera daman-e-hasti
ba-rang-e-shama bazm-e-dahr mein mehman hun shab bhar ka

banai ek hi donon ki surat kahish-e-gham ne
guman hota hai tar-e-pairahan par jism-e-laghar ka

diya mayyat ko meri ghusl aab-e-girya ne mere
hua ehsan bhi mujh par to apne dida-e-tar ka

khayal-e-ahl-e-duniya aa sake 'taufiq' kya dil mein
nahin ye aaina muhtaj taswir-e-sikandar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close