aziyyaton ko kisi tarah kam na kar paya mein apne hath abhi tak qalam na kar paya hawale lakh dalil ek bhi na de shayad nazar mein kyun kisi manzar ko zam na kar paya hai be-tarash abhi dast-e-zehn mein ek naqsh ki is ke rang ko main ham-qalam na kar paya hai sharm tishna-labi us ki jis se bujh jati mein itna khun-e-jigar kyun baham na kar paya tahi-e-samar mere daman ko hi thaharna tha main mausamon ke qaside raqam na kar paya tarawaton se bhara lafz dars hai jis ka isi se khud ko abhi tak wo kam na kar paya sawal-e-sang tha sarzad pa tha mera manzur main chup raha ki main khud par sitam na kar paya