ba-faiz-e-gardish-e-ayyam hum ko kisi surat nahin aaram hum ko sukun dushman junun-parwar iradao na kar dena kahin badnam hum ko fasurda khalwaton mein yaad aa kar rulate hain wo subh-o-sham hum ko utha ai mutriba saz-e-mohabbat pila ai saqi-e-gulfam hum ko na hum ko zindagi ki hai zarurat na duniya se hai koi kaam hum ko kisi ki bewafai ke fasane sunata hai dil-e-nakaam hum ko kisi ne apni mast aankhon se 'nayyar' diya hai pyar ka paigham hum ko