ba-rang-e-nikhat-e-gul hai chaman mein aashiyan apna kisi ke raazdan hum hain na koi raaz-dan apna chale to ja rahe hain kya bataen kal kahan honge khuda malum kis manzil pe thahre karwan apna yahi achchha hua mahfil mein teri chup rahe warna gham-e-dil ki kahani aur phir tarz-e-bayan apna supurd-e-ishq hum to kar chuke sarmaya-e-hasti jo ahl-e-hosh hain socha karen sud-o-ziyan apna hua hi chahti hai sham bhi ab subh piri ki magar ab tak to hai pahlu mein 'qaisar' dil jawan apna