ba-zahir sehat achchhi hai jo bimari ziyaada hai isi khatir budhape mein hawas-kari ziyaada hai chale ga kis tarah se karobar-e-shauq is surat rasad kuchh bhi nahin hai aur talabgari ziyaada hai mohabbat kaam hai jis tarah ka bas dekhte jao ruka rahta bhi hai aksar magar jari ziyaada hai hamein khud bhi yaqin aata nahin is ka jo ye hum par giran-bari ki nisbat se subuk-sari ziyaada hai suragh is ka kahin andar to kuchh milta nahin be-shak ye haalat wo hai jo hum par abhi tari ziyaada hai utha sakte nahin jab chum kar hi chhodna achchha mohabbat ka ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai hifazat hi hamara masala tha roz-e-awwal se so apne ird-gird ab chaar-diwari ziyaada hai imarat ye mukammal hone wali hi nahin lagti ki is tamir mein kuchh rang-e-mismari ziyaada hai zaruri ho to kar denge 'zafar' tardid bhi jari bayan-e-ishq apna ab ke akhbari ziyaada hai