baad-e-makin makan ka gar baam raha to kya hua aap hi jab rahe nahin nam raha to kya hua chashm se kya hai faeda dil mein na ho jo zauq-e-did shishe mein mai na jab rahe jam raha to kya hua hum se gharib bhi bhala mujre ke baryab hon izn tera kabhi kabhi aam raha to kya hua ghair-e-wafa mein pukhta hain yun hi sahi pa mujh sa bhi ek teri janab mein kham raha to kya hua ram to tera sabhon se hai ai but-e-man hiran bhala apne 'huzur' se kabhi ram raha to kya hua