baad-e-murdan ki bhi tadbir kiye jata hun apni qabr aap hi tamir kiye jata hun chain mutlaq nahin padta shab-e-hijran mein mujhe subh tak nala-e-shab-gir kiye jata hun afw par afw ki rezish hai udhar se har dam aur main taqsir pe taqsir kiye jata hun us ke kuche mein jo dekhega karega mujhe yaad apni surat ki main taswir kiye jata hun uth ke ta-kucha-e-laila se na jawe ye kahin panw mein qais ke zanjir kiye jata hun koi le jae ise ya ki na le jae pa main nama-e-shauq ki tahrir kiye jata hun us ka kya jurm mere hosh gae hain kaise jo alam ghair pe shamshir kiye jata hun pesh jati nahin yun bhi meri us se har-chand sharr-o-makr-o-fan-o-tazwir kiye jata hun naqsh-e-hub chaal se nikal hai meri is khatir main pari-zadon ki taskhir kiye jata hun 'mushafi' yar tu sunta nahin aur wahshi sa haal ki apne main taqrir kiye jata hun