baad-e-sahra ko rah-e-shahr pe dala kis ne tar-e-wahshat ko gareban se nikala kis ne mukhtasar baat thi, phaili kyun saba ki manind dard-mandon ka fasana tha, uchhaala kis ne bastiyon wale to khud odh ke patte, soe dil-e-awara tujhe raat sambhaala kis ne aag phulon ki talab mein thi, hawaon pe ruki nazr-e-jaan kis ki hui, rah se tala kis ne kanch ki rah pe ek rasm-e-safar thi mujh se baad mere buna har gam pe jala kis ne