baad muddat ke hijr sa dena mere hathon mein aaina dena achchha lagta hai is zamane ko baad marne ke but bana dena ji ye tauhin hai charaghon ki raat baqi ho aur bujha dena canwas par bahaar utregi aap kuchh titliyan bana dena mashwara hai ki hum jiye jaen kitna aasan hai mashwara dena zindagi 'najm' khwab jaisi hai lutf aane lage jaga dena