baada-e-wahshat-asar se mast virane mein tha

baada-e-wahshat-asar se mast virane mein tha
ek aalam be-khudi ka tere diwane mein tha

jalwa farmata wo kabe mein na but-khane mein tha
dhundhta tha jis ko main wo dil ke kashane mein tha

hasraten thin raqs mein saz-e-tarab thi aah-e-dil
aish duniya-bhar ka mere ek gham-khane mein tha

puchhta kya hai haqiqat us ki mujh se mohtasib
kya bataun main tujhe kya mere paimane mein tha

josh-e-wahshat mein thi us ki justuju donon taraf
ek qadam mera tha ghar mein ek virane mein tha

har ghadi thi jis ke jalwe ki nigahon ko talash
nur us ka aankh mein wo dil ke kashane mein tha

surkh dore aa gae pite hi saqi aankh mein
ye mai-e-gul-rang thi ya khun paimane mein tha

la saka ai shama dam-bhar bhi na tab-e-soz-e-ishq
khak hone ke siwa kya khak parwane mein tha

aur kya kabe mein milta sang-e-aswad ke siwa
dhundhta tha jis ko tu zahid wo but-khane mein tha

naghma-e-haq ki sada har-dam kiye deti thi mast
kis maze ka ek tarannum dil ke paimane mein tha

meri rahat ka zariya thin meri aazadiyan
wo qadam tha aish-khane mein jo virane mein tha

kaund kar girti thin dil par har taraf se bijliyan
ek naya andaz un ke tegh chamkane mein tha

chashm-e-haq-bin ke liye hain ek hi dair-o-haram
saf kabe mein nazar aaya jo but-khane mein tha

ab wo rang-e-baada-e-ulfat ilahi kya hua
joshish-e-hubb-e-watan jo dil ke paimane mein tha

kya kahun kis shai ne 'raunaq' kar diya mast-e-alast
tha wo ek rang-e-mai-e-irfan jo paimane mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close