baada-khane ki riwayat ko nibhana chahiye jam agar khali bhi ho gardish mein aana chahiye aaj aana hai unhen lekin na aana chahiye wada-e-farda usulan bhul jaana chahiye tark karna chahiye hargiz na rasm-e-intizar muntazir ko umr bhar shamen jalana chahiye jazb kar lete hain achchhi suraton ko aaine aainon se kiya tumhein aankhen milana chahiye mere us ke bich jo haalat ki diwar hai mujh ko us diwar mein ek dar banana chahiye phir karam-agin tabassum mein hai poshida sitam hosh-mandon ko paheli bujh jaana chahiye gardish-e-haalat se mayus hona kufr hai umr bhar insan ko qismat aazmana chahiye meri ghazlen hongi kal na-mahramon ke darmiyan us ki khushbu meri ghazlon mein na aana chahiye hum to qail hi nahin mahdud-e-ulfat ke 'alim' hum ko ulfat ke liye sara zamana chahiye