baam-o-dar tut gae bah gaya pani kitna aur barbaad karegi ye jawani kitna rang kumhla diya baalon mein piro di chandi tul khinchegi abhi aur kahani kitna ye talatum ye ana aabla-pai ye junun hum bhi dekhenge ki hai josh-e-jawani kitna darmiyan aa gaya ibham ka ek koh garan dhundte rah gae hum dasht-e-maani kitna barf ki tarah jame jate hain sare alfaz kaam aaegi yahan sehr-bayani kitna dub kar sanson mein rag rag mein sama kar dekho masala dil ka sulajhta hai zabani kitna badhta jaega ye sailab-e-hawadis 'shahid' rok paega koi zor-e-rawani kitna