baat hai ab ke mere wahm-o-guman se aage hai nigah jalwa-talab husn-e-butan se aage tu ne samjha hai jise manzil-e-maqsud nahin manzil-e-ishq to hai manzil-e-jaan se aage dil hua hamdam-e-jibril-e-amin sidra-nashin aql badhti hi nahin sud-o-ziyan se aage umr bhar nala-kunan phirte rahe shahr-ba-shahr aur hum karte bhi kya aah-o-fughan se aage laut kar phir se wo aa jaen ye mumkin hi nahin qafila jin ka gaya umr-e-rawan se aage