baat jo tum ko sikhai hai purani kahna log kuchh bhi kahen tum aag ko pani kahna naujawan bojh jo ghairon ko uthae hans kar dosto us ki jawani ko jawani kahna main musawwir to nahin hun ki kamal aa jae apni taswir ko taswir suhani kahna kis tarah tum ne kiya rah-e-mohabbat ka safar laut aao to hamein apni kahani kahna chot mahbub ke hathon lage koi 'jauhar' tum ise pyar ki anmol nishani kahna