baat koi umid ki mujh se nahin kahi gai so mere khwab bhi gae so meri nind bhi gai dil ka tha ek muddaa jis ne tabah kar diya dil mein thi ek hi to baat wo jo faqat sahi gai jaaniye kya talash thi 'jaun' mere wajud mein jis ko main dhundhta gaya jo mujhe dhundhti gai ek khushi ka haal hai khush-sukhanan ke darmiyan izzat-e-shaeqin-e-gham thi jo rahi-sahi gai bud-o-nabud ki tamiz ek azab thi ki thi yani tamam zindagi dhund mein dubti gai us ke jamal ka tha din mera wajud aur phir subh se dhup bhi gai raat se chandni gai jab main tha shahr zat ka tha mera har-nafas azab phir main wahan ka tha jahan haalat-e-zat bhi gai gard-fashan hun dasht mein sina-zanan hun shahr mein thi jo saba-e-samt-e-dil jaane kahan chali gai tum ne bahut sharab pi us ka sabhi ko dukh hai 'jaun' aur jo dukh hai wo ye hai tum ko sharab pi gai