baat kya jaane aa gai dil mein

baat kya jaane aa gai dil mein
man mera ji nahin laga mill mein

yar phulon se khubsurat hai
yani kanta pada rahe dil mein

hum ko kida bana ke dharti par
rizq mahfuz kar diya sil mein

pani har chiz ka jad-e-amjad
raaz-e-kun rakh diya gaya gil mein

waise mahfil to sari apni hai
koi apna nahin hai mahfil mein

meri aankhon mein ab bhi chalti hain
bhule bisre dinon ki sab filmen

teri aawaz par main nikla tha
zindagi chhup gai kahan bil mein

chha gaya hai chahaar-su sakta
yar nikla hai surkh mahmil mein

aaj phir yar hai hamari chup
jaan-e-‘rashid’ hai aaj mahfil mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close