baaton baaton mein bade hi pyar se chhidka namak zakhm dushman ki ata ahbab ka tohfa namak mausam-e-gham mein sada hota raha paida namak jazr-o-mad dil mein uthe aur aankh se barsa namak zabt jab bhi tutne ki had talak badhne laga halq mein gole ki surat barha atka namak bhul baithe hain namak ka pas rakhna log ab jis taraf bhi dekhiye hai us taraf bikhra namak hum na kahte the munafiq se na kariye dosti kar diya aakhir ko us ne aap ka ruswa namak khud pe jab biti to 'ghaalib' ka kaha yaad aa gaya zakhm se girta to main palkon se chunta tha namak