baaton ke nagar se aa rahe hain hum apne hi ghar se aa rahe hain lafzon ke tulua kar ke aafaq mani ke safar se aa rahe hain khamoshiyan bhar ke tan-badan mein hum barq o sharar se aa rahe hain taron ke ye jitne qafile hain imkan-e-sahar se aa rahe hain in ashkon ka dil se kya talluq ye shoale jigar se aa rahe hain bhige hue gham mein sar se pa tak dariya-e-hunar se aa rahe hain jitne bhi hain lutf-e-jaan ke mausam sab dida-e-tar se aa rahe hain ye gham ke tuyur be-tahasha ek dil ke shajar se aa rahe hain 'mashkur' hain kis khayal mein mast be-khauf-o-khatar se aa rahe hain