baaton mein bahut gahrai hai, lahje mein badi sachchai hai sab baaten phulon jaisi hain, aawaz madhur shahnai hai ye bunden pahli barish ki, ye sondhi khushbu mati ki ek koyal bagh mein kuki hai, aawaz yahan tak aai hai badnam bahut hai rah-guzar, khamosh nazar, bechain safar ab gard jami hai aaankhon mein aur dur talak ruswai hai dil ek musafir hai be-bas, jise noch rahe hain pesh-o-pas ek dariya pichhe bahta hai aur aage gahri khai hai ab khwab nahin kam-khwab nahin, kuchh jine ke asbab nahin ab khwahish ke talab pe har su mayusi ki kai hai pahle kabhi mahfil jamti thi mahfil mein kahin tum hote the ab kuchh bhi nahin yaadon ke siwa, bas main hun meri tanhai hai