bachi hai raushni jo bhi charaghon se nikal jae

bachi hai raushni jo bhi charaghon se nikal jae
jo mere dil se nikla hai duaon se nikal jae

hum aise log jo dushman ke rone par thahar jaen
wo aisa shakhs jo apnon ki lashon se nikal jae

padhane ka agar matlab hai hathon se nikal jaana
khudaya phir meri beti bhi hathon se nikal jae

wahi ek shakhs tha mera yahan par ji lagane ko
usi ko chahte the sab ki ganw se nikal jae

idhar to chhu rahi hai jism mera thande hathon se
udhar wo chahti hai raat baaton se nikal jae

numaish bap ki daulat ki kar ke sochta tha main
ki shayad imtihan-e-ishq paison se nikal jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close