bachpan ke hain khwab suhane titli phul aur main kahan se laen ab wo zamane titli phul aur main nafrat se hai nafrat hum ko prit hamari rit pyar ke hain anmol khazane titli phul aur main dard ruton ki khushbu sanjhi ek hi jaisa rog dhund rahe hain sath purane titli phul aur main jiwan-rah mein kaun kahan par bichhde kya malum mil lete hain kisi bahane titli phul aur main chand sitare khushbu shabnam sabza rang hawa qudrat ke rangin fasane titli phul aur main