bachpan tamam budhe sawalon mein kat gaya school ki kitabon se ab ji uchat gaya likkhe hue the sare farishton ke jis pe nam shayad wahi waraq kisi bachche se phat gaya taza hawa ki aas mein parde utha diye bas ye hua ki gard mein saman at gaya kal carnas pe dekh ke chidiyon ka khelna be-wajh zehn us ke khayalon mein bat gaya ek bachcha us khuli hui khidki mein jhank kar sharma ke ghar jo bhaga to man se lipat gaya kya kahta aur chaaragaron se wo be-zaban zakhmi parinda apne paron mein simat gaya sahra duhai deta raha apni pyas ki baadal baras ke khushk chatanon pe chhat gaya