bada khubsurat suhana khilauna khushi ka ghamon ka khazana khilauna hua aag pani zamin aasman ko milana mila kar banana khilauna na jaane kahan se mila hai mujhe ye dhadakta hua ek purana khilauna kabhi ruthne ka sabab ho gaya hai kabhi rabton ka bahana khilauna umiden irade mohabbat wafaen kahani tamasha fasana khilauna zara ghaur se dekhna tum ise to lagega tumhein bhi zamana khilauna use dar yahi hai kahin wo na kah de ki abba mujhe bhi dilana khilauna