badal ke rakh denge ye tasawwur ki aadmi ka waqar kya hai khala mein wo chand nachta hai zaman makan ka hisar kya hai bahak gae the sambhal gae hain sitam ki had se nikal gae hain hum ahl-e-dil ye samajh gae hain kashakash-e-rozgar kya hai abhi na puchho ki lala-zaron se uth raha hai dhuan wo kaisa magar ye dekho ki phul banne ka aarzu-mand khar kya hai wahi bane dushman-e-tamanna jinhen sikhaya tha hum ne jina agar ye puchhen to kis se puchhen ki dosti ka shiar kya hai kabhi hai shabnam kabhi sharara falak se tuta to ek tara gham-e-mohabbat ke raazdaro ye gauhar-e-abdar kya hai bahaar ki tum nai kali ho abhi abhi jhum kar khili ho magar kabhi hum se yunhi puchho ki hasraton ka mazar kya hai ba-in tabahi dikhae hum ne wo moajize aashiqi ke tum ko ba-in adawat kabhi na kahna ki aap sa khaksar kya hai bane koi ilm o fan ka malik ki main hun rah-e-wafa ka salik nahin hai shohrat ki fikr 'baqar' ghazal ka ek raazdar kya hai
This is a great jawab hum denge shayari. Please share if you liked this!!!