badalte mausamon mein aab-o-dana bhi nahin hoga ki pedon par parindon ka thikana bhi nahin hoga baha le jaengi maujen kitab-e-zindagani ko sunane ke liye koi fasana bhi nahin hoga nawah-e-jaan mein ek din tum utar kar dekh bhi lena tumhaare pas yaadon ka khazana bhi nahin hoga tasawwur ki hadon se dur ja kar kaise dekhenge agar tum se talluq ghaebana bhi nahin hoga khula dar chhod aae the ki hijrat ka taqaza tha wahan kya laut kar jaen thikana bhi nahin hoga