badan aur ruh mein jhagDa paDa hai

badan aur ruh mein jhagda pada hai
ki hissa ishq mein kis ka bada hai

hujum-e-girya se hun dar-ba-dar main
ki ghar mein sar talak pani khada hai

bulati hai mujhe diwar-e-duniya
jahan har jism inton sa jada hai

jhinjhoda hai abhi kis zalzale ne
zamin se zindagi sa kya jhada hai

faqat aankhen hi aankhen rah gai hain
ki sara shahr mitti mein gada hai

tumhaara aks hai ya aks-e-duniya
tazabzub sa kuchh aankhon mein pada hai

main dariya jaan bachata phir raha hun
koi sahil mere pichhe pada hai

zara si sharm bhi kar farhat-'ehsas'
badan tera ajab chikna ghada hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close