badan ka kaam thoDa hai magar mohlat ziyaada hai

badan ka kaam thoda hai magar mohlat ziyaada hai
so jo ghaflat ziyaada thi wahi ghaflat ziyaada hai

hamein is aalam-e-hijran mein bhi ruk ruk ke chalna hai
unhen jaane diya jae jinhen ujlat ziyaada hai

na jaane kab kisi chilman ka hum nuqsan kar baithen
hamein chehra-kushai ki zara rukhsat ziyaada hai

kabhi main khud ziyaada hun tan-e-tanha ki wahdat mein
kabhi meri zarurat se meri wahdat ziyaada hai

tujhe halqa-ba-halqa khinchte phirte hain duniya mein
so ai zanjir-e-pa yun bhi teri shohrat ziyaada hai

ye dil bahar dhadakta hai ye aankh andar ko khulti hai
hum aise marhale mein hain jahan zahmat ziyaada hai

main qarnon ki tarah bikhra pada hun donon waqton mein
meri jalwat ziyaada hai meri khalwat ziyaada hai

so hum fariyaadiyon ki ek apni saf alag se ho
hamara masala ye hai hamein hairat ziyaada hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close