badan ko apni bisat tak to pasarna tha har ek shai ko lahu ke raste guzarna tha jidhar fasilon ne us ko moda ye mud gai hai hawa ki maujon mein koi kaunda utarna tha to kya sabab sat paniyon ko na pi sake hum khud apna duba hua jazira ubhaarna tha main apne andar simat gaya ek lamha ban kar kahin to apne janam ka manzar guzarna tha tum aa gae kyun wajud ki ye baraat le kar hamein to apni ragon mein shamshan utarna tha yahan se kat kar wo ja ke jangal mein so gai hain usi bahane hawaon ko khel haarna tha na brij tute na aankh jhapki na waqt bita na jaane kya kuchh bisarna tha kya bisarna tha