badan ko chang bana ruh ko rabab bana sarapa apna bahut kaif-e-iztirab bana ek ishtihaar ki surat mein padh ke aage nikal na apne waste har shakhs ko kitab bana mere sawalon ko sun le yahi bahut hoga jawab de ke mujhe yun na la-jawab bana fasurda rah ke hama-waqt kya milega tujhe kabhi kabhaar to chehre ko tu gulab bana zamir par jo padi barf hai pighal jae darun-e-zehn koi aisa aaftab bana kabhi to thodi si halchal ho soe jazbon mein kabhi to thahre samundar pe ek habab bana