badan se ruh ke rishte ka dhyan hote hue

badan se ruh ke rishte ka dhyan hote hue
main dar-ba-dar hi phira hun makan hote hue

ye kaun aaya ki chehre pe aa gai raunaq
janam janam ki musalsal thakan hote hue

jhulas rahe hain badan kaise tez garmi se
hamare sar pe kai saeban hote hue

pahunch hi jaunga farda ki khwab-gahon mein
tumhaari yaad ka dhundla nishan hote hue

inayaten huin mausam ki barha mujh par
use bhi dekhun kabhi mehrban hote hue

zamin-e-fikr se rishta mera kahan tuta
khayal-o-khwab ki unchi udan hote hue

nigahen dekhne lagti hain raston ki taraf
safar mein kitna hi manzil ka dhyan hote hue

qadam-qadam pe hain lashkar muhafizon ke 'nisar'
hamare shahr mein amn-o-aman hote hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close