badan ye jis ke liye sham jaisa saya hai wo shakhs aaj bhi mere liye paraya hai faza mein aaj parindon ki chahchahahat hai ajab sa shor darakhton ne bhi machaya hai guzashta daur ki laila se mukhtalif hun main ki main ne ishq kamaya hai ghar basaya hai ye mera khaki badan le raha hai ukhdi sans so main ne bheja hai qasid use bulaya hai rahega wo to mere khwabon ki hifazat mein charagh-e-akhiri jo nind mein jalaya hai