baDh gai kuchh aur uljhan rabta karne ke baad

badh gai kuchh aur uljhan rabta karne ke ba'd
khud se bhi shikwa raha us se gila karne ke ba'd

hum ko mud kar dekhne ki kya zarurat thi use
kaun rukta hai yahan par hadisa karne ke ba'd

kya qayamat hai ki ghar se dhundne nikle hain log
khud ko apni khwahishon mein lapata karne ke ba'd

meri sari mushkilen hain mere hone ki dalil
main kahan baqi rahunga iltija karne ke ba'd

is se badh kar aur kya hum par sitam hoga 'munir'
mashwara manga hai us ne faisla karne ke ba'd


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close