baDhe kuchh aur kisi iltija se kam na hue

badhe kuchh aur kisi iltija se kam na hue
mere harif tumhaari dua se kam na hue

siyah raat mein dil ke muhib sannate
kharosh-e-naghma-e-shola-nawa se kam na hue

watan ko chhod ke hijrat bhi kis ko ras aai
masail un ke wahan bhi zara se kam na hue

faraaz-e-khalq se apna lahu bhi barsaya
ghubar phir bhi dilon ki faza se kam na hue

buland aur lawen ho gain ummidon ki
diye wafa ke tumhaari jafa se kam na hue

bhanwar mein dub ke tarikh ban gae goya
safine ishq ke sail-e-bala se kam na hue

hamare zehn bhatakte rahe khalaon mein
safar nasib ke zanjir-e-pa se kam na hue

sada bahaar khayaban-e-arzu tha 'zafar'
lahu ke phul hamari qaba se kam na hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close