baDhti jati hai KHayalon ki thakan aaKHir-e-shab

badhti jati hai khayalon ki thakan aakhir-e-shab
tutne lagte hain yaadon ke badan aakhir-e-shab

sari duniya hai siyahi ke samundar ki tarah
chhin li waqt ne ek ek kiran aakhir-e-shab

raushni ban ke dabe panw chala aata hai
un darichon se tera sanwala-pan aakhir-e-shab

thak ke baithi hai kahin dur musafir ki tarah
mere khwabon se meri subh-e-chaman aakhir-e-shab

har bun-e-mu se chhalakne lagi yaadon ki sharab
aur gulnar hua tera badan aakhir-e-shab

ek ek khwab yahin dafn hua hai 'saqib'
dekhna sog mein hai arz-e-dakan aakhir-e-shab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close