baDi ibrat ki manzil hai zamin gor-e-ghariban ki

badi ibrat ki manzil hai zamin gor-e-ghariban ki
yahan apni haqiqat par nazar padti hai insan ki

yahi dhun thi kahin mera dil-e-gum-gashta mil jae
isi wahshat mein barson khak chhani ku-e-jaanan ki

jahan nabzen rukin dil sard ho do hichkiyan aain
samajh lije ki manzil aa gai gor-e-ghariban ki

na jaega mere dil se khayal-e-abru-e-dil-bar
ki teghon hi ke sae mein to hai jannat musalman ki

fana-e-ishq ho kar zinda-e-jawed hota hai
mita kar dekhiye hasti nahin mitti hai insan ki

yahan rone se ho maqsud hasil ghair-mumkin hai
chalo ab shamen bhi bujhne lagin gor-e-ghariban ki

'safir' ek khwab thi ye chand roza zindagi apni
ajal se mil gai tabir is khwab-e-pareshan ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close