bagh-e-jahan ke sada jamalon se ishq hai sabze se gul se sarw se lalon se ishq hai han khar-o-khas se dil ko ilaqa hai pas ka han is chaman ke taza nihaalon se ishq hai sada si guftugu ke kham-o-pech hain aziz khamoshiyon ke garm maqalon se ishq hai jo ba-hunar hain un ke qadam chumte hain hum jo be-hunar hain un ke kamalon se ishq hai budhon ke para para azaem ka hai malal bachchon ke taza taza sawalon se ishq hai har be-nawa faqir ko dete hain khun-e-dil har khush-nawa faqir ke nalon se ishq hai sare-jahan ke talkh-nawaon se hai niyaz sare-jahan ki shirin-maqalon se ishq hai ya kufr-o-din ke jaanne walon se kya gharaz yan kufr-o-din ke manne walon se ishq hai